कयामत कब आएगी | Qayamat Kab Aayegi PDF Book Free Download



Qayamat Kab Aayegi PDF Book Free Download


कयामत कब आएगी | Qayamat Kab Aayegi PDF Book Free Download


Allah ta'ala ne apni muqaddas kitab qur'an e majeed mein farmaya ki "Beshak qayamat aane wali hai"

Qayamat kya hai?

Allah ta'ala ne apne bandon ko unke achche aur bure kaamon ka badla dene ke liye ek khaas din muqarrar farma diya hai jis din vah neko karon aur badkaron ke achche aur bure aamaal ki jaza wa saza ka faisla farmayega aur nekon ko jannat ki nematein aur badon ko jahannam ka azaab dega us din ka naam qiyamat hai.

Qayamat kis tarah aayegi?

Qayamat ek dam achanak aur bilkul hi nagahan aayegi. Logon ko iska koi khyaal hi nahi rahega aur rozana ke mutabiq log apne apne kaamon mein mashgool honge ki dafatan Allah ta'ala Hazrate Israfeel alaihissalam ko soor phoonkne ka hukm dega, soor bigul ki tarah ek cheez hai jisko Hazrate Israfeel alaihissalam apne hath mein liye huye aasman par Allah ta'ala ke hukm ke intezar mein khade huye hain. Shuru shuru mein soor ki aawaz bahut hi barik aur sureeli hogi magar raft raft (dheere dheere) yah aawaz buland aur bhayanak hoti jayegi yahan tak ki log kaan lagakar us aawaz ko sunege aur behosh wa bad'hawaas ho kar girte aur marte chale jayenge. Aasman toot phoot kar aur tukde tukde hokar gir padega, zameen mein itna jabardast bhauchal aa jayega ki zameen zor zor se hilne aur kanpne lagegi yahan tak ki reza reza hokar bikhar jayegi balki gard wa gubaar ban kar udne lagegi, chhote bade pahad chaknachoor hokar dhune huye oon ki tarah idher udher udte phirenge.

chaand sooraj aur sitare be noor hokar jhad jayenge aur har taraf aisi aafat wa halakat wa tabahi wa barbadi phail jayegi ki tamam jandar aur bejaan sab chhoti badi cheezein yahan tak ki khud Hazrate Israfeel alaihissalam aur unka soor sab fana ho jayenge aur Allah ke siwa koi bhi maujood wa baqi nahi rahega. Us waqt khudavand e quddoos apni jalali shaan ke sath yah ailan farmayega" Aaj kiski badshahi hai" (soorah momin, aayat 16) Kahan hain aaj zor wa zabardasti karne wale? Kidher hain aaj ghamand wa takabbur karne wale? Magar vahan koi maujood hi nahi hoga jo jawab de! Phir khud hi apni azmat wa kibriyai ke sath irshad farmayega "Ek Allah sab par gaalib ki". (soorah momin, aayat 16) Aaj sirf Allah hi ki saltanat hai jo ek hai aur nihayat hi galba wala hai.





Bookकयामत कब आएगी / Qayamat Kab Aayegi
AuthorAllama Abdul Mustafa Aazmi
LanguageHindi
Pages111
Size1 MB
FilePDF
CategoryIslamic
DownloadClick on the button given below

Pdf Download Button


Post a Comment